jamal tera tera husn aaina tera
jamāl terā tirā husn aa.ina terā
ḳhilāf ho ke bhī koī karegā kyā terā
havā chaman meñ bikher aatī hai tirī ḳhushbū
kabhī havāoñ se koī na bas chalā terā
mirī zabān ne paayā hai ābloñ kā ḳhirāj
jo bhuul ke bhī kabhī naam le liyā terā
jo ab bhī rakkhe hai zinda lahū kī qīmat ko
hai ma.arkoñ meñ faqat ek ma.arka terā
yuuñ razm-e-āb-o-atsh meñ shikast aab ko dī
vafā-kadoñ meñ vafā naam paḌ gayā terā
tū kar ke aa bhī gayā sair āsmānoñ kī
milā na DhūñDe kisī ko bhī naqsh-e-pā terā
ḳhabar kitāboñ meñ likhī hai tere aane kī
isī se dekhtā rahtā huuñ rāsta terā
najābatoñ kā jo maskan hai aaj tak 'iqbāl'
ḳhudā kā shukr vahīñ se hai silsila terā
jamal tera tera husn aaina tera
KHilaf ho ke bhi koi karega kya tera
hawa chaman mein bikher aati hai teri KHushbu
kabhi hawaon se koi na bas chala tera
meri zaban ne paya hai aablon ka KHiraj
jo bhul ke bhi kabhi nam le liya tera
jo ab bhi rakkhe hai zinda lahu ki qimat ko
hai markon mein faqat ek marka tera
yun razm-e-ab-o-atsh mein shikast aab ko di
wafa-kadon mein wafa nam paD gaya tera
tu kar ke aa bhi gaya sair aasmanon ki
mila na DhunDe kisi ko bhi naqsh-e-pa tera
KHabar kitabon mein likhi hai tere aane ki
isi se dekhta rahta hun rasta tera
najabaton ka jo maskan hai aaj tak 'iqbaal'
KHuda ka shukr wahin se hai silsila tera
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 535)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.