janam se pahle ki khata-bahi ki qaid mein hun
janam se pahle kī khātā-bahī kī qaid meñ huuñ
maiñ ek būḌhī sī pāgal sadī kī qaid meñ huuñ
vo jis se maut nikālegī ek din aa kar
tumheñ ḳhabar hai usī zindagī kī qaid meñ huuñ
mujhe kisī ke ġhamoñ kā ḳhayāl kyoñ aa.e
mire 'azīz maiñ apnī ḳhushī kī qaid meñ huuñ
maiñ jab se niklā huuñ us lā-makāñ kī chāhat meñ
har ek gaam kisī raushnī kī qaid meñ huuñ
lo us kī yaad ke panchhī uḌā diye maiñ ne
abhī na kahnā mujhe maiñ kisī kī qaid meñ huuñ
nikal ke jaa.e kahāñ 'aks aa.ine se merā
maiñ jis ke sāmne dānish-varī kī qaid meñ huuñ
'ajīb baat hai jis kī asiir hai duniyā
mujhe ḳhabar hī nahīñ maiñ usī kī qaid meñ huuñ
samajh meñ kuchh nahīñ aatā maiñ kyā karūñ 'armān'
bahut dinoñ se kisī ajnabī kī qaid meñ huuñ
janam se pahle ki khata-bahi ki qaid mein hun
main ek buDhi si pagal sadi ki qaid mein hun
wo jis se maut nikalegi ek din aa kar
tumhein KHabar hai usi zindagi ki qaid mein hun
mujhe kisi ke ghamon ka KHayal kyon aae
mere 'aziz main apni KHushi ki qaid mein hun
main jab se nikla hun us la-makan ki chahat mein
har ek gam kisi raushni ki qaid mein hun
lo us ki yaad ke panchhi uDa diye main ne
abhi na kahna mujhe main kisi ki qaid mein hun
nikal ke jae kahan 'aks aaine se mera
main jis ke samne danish-wari ki qaid mein hun
'ajib baat hai jis ki asir hai duniya
mujhe KHabar hi nahin main usi ki qaid mein hun
samajh mein kuchh nahin aata main kya karun 'arman'
bahut dinon se kisi ajnabi ki qaid mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.