jang diwaron se thi raat ke lashkar jage
jang dīvāroñ se thī raat ke lashkar jaage
ret kī Dhāl-ba-kaf donoñ dilāvar jaage
ab ke sailāb bhī bārish bhī lagātār huī
kyā Thikāna ki tah-e-āb koī ghar jaage
ab parindoñ pe bhī ġhālib huā ġhāroñ kā azaab
sang kā khet kaTe taaki muqaddar jaage
mujh ko ahbāb ne dekhā thā kuñ.eñ tak jaate
kaash kī talvoñ meñ un ke bhī samundar jaage
apnī dahlīz pe pheñkī huī dastak ke nisār
'qaus' kyā kam hai ki ye so.e hue dar jaage
jang diwaron se thi raat ke lashkar jage
ret ki Dhaal-ba-kaf donon dilawar jage
ab ke sailab bhi barish bhi lagatar hui
kya Thikana ki tah-e-ab koi ghar jage
ab parindon pe bhi ghaalib hua ghaaron ka azab
sang ka khet kaTe taki muqaddar jage
mujh ko ahbab ne dekha tha kunen tak jate
kash ki talwon mein un ke bhi samundar jage
apni dahliz pe phenki hui dastak ke nisar
'qaus' kya kam hai ki ye soe hue dar jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.