jangal mein hi aa pahunche hain jangal se nikal kar
jangal meñ hī aa pahuñche haiñ jangal se nikal kar
khaa.ī meñ gire haiñ kisī daldal se nikal kar
vo mausam-e-āvārgi-e-āb-o-havā hai
barsāt yahāñ phirtī hai bādal se nikal kar
manzūr haiñ kyoñ tum ko judā.ī ke shab-o-roz
kyoñ jaate ho tum vasl ke is pal se nikal kar
ik peḌ na kaam aayā tah-e-ātish-e-ḳhurshīd
maiñ raakh huā maañ tire āñchal se nikal kar
gaDDhe meñ paḌā sūkhtā Thahrā huā paanī
pachhtā rahā hai maujoñ kī halchal se nikal kar
āñkhoñ meñ umaD aa.ī jab idrāk kī bārish
maiñ sair huā ġhaflatoñ ke thal se nikal kar
jangal mein hi aa pahunche hain jangal se nikal kar
khai mein gire hain kisi daldal se nikal kar
wo mausam-e-awargi-e-ab-o-hawa hai
barsat yahan phirti hai baadal se nikal kar
manzur hain kyon tum ko judai ke shab-o-roz
kyon jate ho tum wasl ke is pal se nikal kar
ek peD na kaam aaya tah-e-atish-e-KHurshid
main rakh hua man tere aanchal se nikal kar
gaDDhe mein paDa sukhta Thahra hua pani
pachhta raha hai maujon ki halchal se nikal kar
aankhon mein umaD aai jab idrak ki barish
main sair hua ghaflaton ke thal se nikal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.