jangal mudafat ke halkan ho gae hain
jangal mudāfa'at ke halkān ho ga.e haiñ
sab raste āñdhiyoñ ke āsān ho ga.e haiñ
rishtoñ kā bojh Dhonā dil dil meñ kuḌhte rahnā
ham ek dūsre par ehsān ho ga.e haiñ
āñkheñ haiñ sulgī sulgī chehre haiñ dahke dahke
kin jaltī bastiyoñ kī pahchān ho ga.e haiñ
logoñ kā aanā jaanā mā'mūl thā par ab ke
ghar pahle se ziyāda sunsān ho ga.e haiñ
bad-qismatī se ham haiñ in kashtiyoñ ke vāris
jin ke havā se 'ahd-o-paimān ho ga.e haiñ
milnā bhī pur-takalluf duurī kī dilkashī bhī
ik duuje ke liye ham mehmān ho ga.e haiñ
jangal mudafa'at ke halkan ho gae hain
sab raste aandhiyon ke aasan ho gae hain
rishton ka bojh Dhona dil dil mein kuDhte rahna
hum ek dusre par ehsan ho gae hain
aankhen hain sulgi sulgi chehre hain dahke dahke
kin jalti bastiyon ki pahchan ho gae hain
logon ka aana jaana ma'mul tha par ab ke
ghar pahle se ziyaada sunsan ho gae hain
bad-qismati se hum hain in kashtiyon ke waris
jin ke hawa se 'ahd-o-paiman ho gae hain
milna bhi pur-takalluf duri ki dilkashi bhi
ek duje ke liye hum mehman ho gae hain
- Book : dahliiz per utartii shaam (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.