jangal pahaD khet bhi bhate nahin mujhe
jangal pahāḌ khet bhī bhāte nahīñ mujhe
apnī nazar se tum jo dikhāte nahīñ mujhe
maiñ rasm rah gayā huuñ faqat aur kuchh nahīñ
is par bhī mere log nibhāte nahīñ mujhe
do din mile baġhair bhī jis se sukūñ na thā
haa.e ab us ke ḳhvāb tak aate nahīñ mujhe
ye zindagī hai ḳhvāb burā ḳhvāb zindagī
kyoñ niiñd se ḳhudāyā jagāte nahīñ mujhe
ġham haiñ mujhe to ḳhair mujhe ye sukūn hai
ye ġham akele chhoḌ ke jaate nahīñ mujhe
jangal pahaD khet bhi bhate nahin mujhe
apni nazar se tum jo dikhate nahin mujhe
main rasm rah gaya hun faqat aur kuchh nahin
is par bhi mere log nibhate nahin mujhe
do din mile baghair bhi jis se sukun na tha
hae ab us ke KHwab tak aate nahin mujhe
ye zindagi hai KHwab bura KHwab zindagi
kyon nind se KHudaya jagate nahin mujhe
gham hain mujhe to KHair mujhe ye sukun hai
ye gham akele chhoD ke jate nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.