jangal se aage nikal gaya
jañgal se aage nikal gayā
vo dariyā kitnā badal gayā
kal mere lahū kī rim-jhim meñ
sūraj kā pahiyā phisal gayā
chehroñ kī nadī bahtī hai magar
vo lahar ga.ī vo kañval gayā
ik peḌ havā ke saath chalā
phir girte girte sambhal gayā
ik āñgan pahle chhīñTe meñ
bādal se ūñchā uchhal gayā
ik andhā jhoñkā aayā thā
ik iid kā joḌā masal gayā
ik sāñvlī chhat ke girne se
ik pāgal saaya kuchal gayā
ham duur talak jā sakte the
tū baiThe baiThe bahal gayā
jhūTī ho ki sachchī aag tirī
merā patthar to pighal gayā
miTTī ke khilaune lene ko
maiñ bālak ban ke machal gayā
ghar meñ to zarā jhāñkā bhī nahīñ
aur naam kī taḳhtī badal gayā
sab ke liye ek hī rasta hai
heidinger se aage russel gayā
jangal se aage nikal gaya
wo dariya kitna badal gaya
kal mere lahu ki rim-jhim mein
suraj ka pahiya phisal gaya
chehron ki nadi bahti hai magar
wo lahar gai wo kanwal gaya
ek peD hawa ke sath chala
phir girte girte sambhal gaya
ek aangan pahle chhinTe mein
baadal se uncha uchhal gaya
ek andha jhonka aaya tha
ek id ka joDa masal gaya
ek sanwli chhat ke girne se
ek pagal saya kuchal gaya
hum dur talak ja sakte the
tu baiThe baiThe bahal gaya
jhuTi ho ki sachchi aag teri
mera patthar to pighal gaya
miTTi ke khilaune lene ko
main baalak ban ke machal gaya
ghar mein to zara jhanka bhi nahin
aur nam ki taKHti badal gaya
sab ke liye ek hi rasta hai
heidinger se aage russel gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.