jannat hai jis ka nam tera rahguzar hai
jannat hai jis kā naam tirā rahguzār hai
terā ḳhirām hai ki nasīm-e-bahār hai
aa jaao ab vagarna bhulā deñge ham tumheñ
itnā to apne dil pe hameñ iḳhtiyār hai
vābasta terī yaad se thiiñ be-qarāriyāñ
tujh ko bhulā diyā hai to kitnā qarār hai
vo sādgī vo sāda-dilī vo nazar kahāñ
kis ne kahā hai aap se 'sā.ib' ko pyaar hai
jannat hai jis ka nam tera rahguzar hai
tera KHiram hai ki nasim-e-bahaar hai
aa jao ab wagarna bhula denge hum tumhein
itna to apne dil pe hamein iKHtiyar hai
wabasta teri yaad se thin be-qarariyan
tujh ko bhula diya hai to kitna qarar hai
wo sadgi wo sada-dili wo nazar kahan
kis ne kaha hai aap se 'saib' ko pyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.