jannat ka uske waste paigham aa gaya
jannat kā us ke vāste paiġhām aa gayā
har lamha ġham ke māroñ ke jo kaam aa gayā
Daale hue thā parda jo ḳhud apne 'aib par
nīlām karne mujh ko sar-e-'ām aa gayā
ġham kyā huā nasīb mujhe mere yaar kā
bechain dil ko dā.imī ārām aa gayā
āġhāz jab bhī maiñ ne kisī kaam kā kiyā
apnā hī bhaa.ī karne ko nākām aa gayā
vāhid hai rab kī zaat huā is kā mo'tarif
qismat meñ merī maz.hab-e-islām aa gayā
kyūñkar na tabsira ho mirī ḳhush-nasībī par
jab 'āshiqoñ meñ tere mirā naam aa gayā
dī apnī jaan rāh-e-vafā meñ isī liye
jis kī talab thī 'nāzāñ' vo in'ām aa gayā
jannat ka us ke waste paigham aa gaya
har lamha gham ke maron ke jo kaam aa gaya
Dale hue tha parda jo KHud apne 'aib par
nilam karne mujh ko sar-e-'am aa gaya
gham kya hua nasib mujhe mere yar ka
bechain dil ko daimi aaram aa gaya
aaghaz jab bhi main ne kisi kaam ka kiya
apna hi bhai karne ko nakaam aa gaya
wahid hai rab ki zat hua is ka mo'tarif
qismat mein meri mazhab-e-islam aa gaya
kyunkar na tabsira ho meri KHush-nasibi par
jab 'ashiqon mein tere mera nam aa gaya
di apni jaan rah-e-wafa mein isi liye
jis ki talab thi 'nazan' wo in'am aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.