jannat ke phal zamin pe girane ki der thi
jannat ke phal zamīñ pe girāne kī der thī
ik baar āsmān hilāne kī der thī
maiñ peḌ meñ qiyām karūñgā tamām 'umr
ye baat tā.eroñ ko batāne kī der thī
ye ramz mujh pe ġhair kā ehsān jāniye
us dil meñ ek phuul khilāne kī der thī
us chashm-e-nīm-bāz kī ḳhvābīdgī kī ḳhair
jaise use ye ḳhvāb sunāne kī der thī
aflāk chaak hone lage chāñd shaq huā
shāyad mire charāġh jalāne kī der thī
phir maiñ thā azdahoñ kā 'ilāqa thā ḳhauf thā
apnī taraf ḳhudā ko bulāne kī der thī
tujh tak pahuñchne meñ mujhe sadiyāñ lagīñ magar
merī nahīñ thī ye to zamāne kī der thī
jannat ke phal zamin pe girane ki der thi
ek bar aasman hilane ki der thi
main peD mein qiyam karunga tamam 'umr
ye baat taeron ko batane ki der thi
ye ramz mujh pe ghair ka ehsan jaaniye
us dil mein ek phul khilane ki der thi
us chashm-e-nim-baz ki KHwabidgi ki KHair
jaise use ye KHwab sunane ki der thi
aflak chaak hone lage chand shaq hua
shayad mere charagh jalane ki der thi
phir main tha azdahon ka 'ilaqa tha KHauf tha
apni taraf KHuda ko bulane ki der thi
tujh tak pahunchne mein mujhe sadiyan lagin magar
meri nahin thi ye to zamane ki der thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.