jannat nahin to ku-e-butan kuchh na kuchh to ho
jannat nahīñ to kū-e-butāñ kuchh na kuchh to ho
taskīn-e-dil ko apnī yahāñ kuchh na kuchh to ho
āñkhoñ meñ ashk lab pe fuġhāñ kuchh na kuchh to ho
raaz us pe dard-e-dil kā ayaañ kuchh na kuchh to ho
o be-niyāz ek uchaTtī huī nazar
dil ko bhī zindagī kā gumāñ kuchh na kuchh to ho
chashm-e-karam nahīñ na sahī zahr hī sahī
lekin ilāj-e-dard-e-nihāñ kuchh na kuchh to ho
ehsās-e-zindagī ke liye is jahān meñ
fikr-e-jahāñ ki ishq-e-butāñ kuchh na kuchh to ho
kuchh dil kī dhaḌkanoñ kā mudāvā bhī chāhiye
dast-e-subuk ki sañg-e-girāñ kuchh na kuchh to ho
ai 'shauq' be-sabab to ġhazal-ḳhvāniyāñ nahīñ
tum bhī qatīl-e-chashm-e-butāñ kuchh na kuchh to ho
jannat nahin to ku-e-butan kuchh na kuchh to ho
taskin-e-dil ko apni yahan kuchh na kuchh to ho
aankhon mein ashk lab pe fughan kuchh na kuchh to ho
raaz us pe dard-e-dil ka ayan kuchh na kuchh to ho
o be-niyaz ek uchaTti hui nazar
dil ko bhi zindagi ka guman kuchh na kuchh to ho
chashm-e-karam nahin na sahi zahr hi sahi
lekin ilaj-e-dard-e-nihan kuchh na kuchh to ho
ehsas-e-zindagi ke liye is jahan mein
fikr-e-jahan ki ishq-e-butan kuchh na kuchh to ho
kuchh dil ki dhaDkanon ka mudawa bhi chahiye
dast-e-subuk ki sang-e-giran kuchh na kuchh to ho
ai 'shauq' be-sabab to ghazal-KHwaniyan nahin
tum bhi qatil-e-chashm-e-butan kuchh na kuchh to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.