jarahaton ki mahak hai faza ke daman mein
jarāhatoñ kī mahak hai fazā ke dāman meñ
hazār phuul khile haiñ sabā ke dāman meñ
hai aaj shiddat-e-ehsās-e-nā-rasā.ī kyoñ
gudāz dil to bahut hai duā ke dāman meñ
jahān-e-āh-o-fuġhāñ bhī hai āb-gil-naġhma
fusūn-e-koh-e-nidā hai sadā ke dāman meñ
gayā vo qāfila-e-nau-bahār bhī lekin
vahī hai zauq-e-safar naqsh-e-pā ke dāman meñ
vahī jo tā.ir-e-aflāk-āshiyāñ thā kabhī
taḌap rahā hai vo bīm-o-rajā ke dāman meñ
jarahaton ki mahak hai faza ke daman mein
hazar phul khile hain saba ke daman mein
hai aaj shiddat-e-ehsas-e-na-rasai kyon
gudaz dil to bahut hai dua ke daman mein
jahan-e-ah-o-fughan bhi hai aab-gil-naghma
fusun-e-koh-e-nida hai sada ke daman mein
gaya wo qafila-e-nau-bahaar bhi lekin
wahi hai zauq-e-safar naqsh-e-pa ke daman mein
wahi jo tair-e-aflak-ashiyan tha kabhi
taDap raha hai wo bim-o-raja ke daman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.