jaras-e-dil ki sada ban ke chale
jaras-e-dil kī sadā ban ke chale
tū agar rāh-numā ban ke chale
mor-e-be-māya kī raftār chalūñ
tū agar ābla-pā ban ke chale
aarzū hai ki banūñ maiñ dariyā
aur tū mujh pe havā ban ke chale
aise gulshan meñ guzārūñ koī shab
tū jahāñ bād-e-sabā ban ke chale
maiñ rahūñ dasht meñ jā kar aur tū
chāñdnī-shab meñ balā ban ke chale
aql-o-dānish tire qadmoñ pe nisār
tū agar hosh-rubā ban ke chale
jaras-e-dil ki sada ban ke chale
tu agar rah-numa ban ke chale
mor-e-be-maya ki raftar chalun
tu agar aabla-pa ban ke chale
aarzu hai ki banun main dariya
aur tu mujh pe hawa ban ke chale
aise gulshan mein guzarun koi shab
tu jahan baad-e-saba ban ke chale
main rahun dasht mein ja kar aur tu
chandni-shab mein bala ban ke chale
aql-o-danish tere qadmon pe nisar
tu agar hosh-ruba ban ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.