jashn-e-girya ke alawa bhi tamasha ho to
jashn-e-girya ke alāva bhī tamāshā ho to
ab alāva ke alāva bhī tamāshā ho to
kaash ab ke na kisī shai kī talab ham ko rahe
ab tamannā ke alāva bhī tamāshā ho to
mohlat-e-mahfil-e-ḳhush-rang pas-e-zindāñ ho
habs-e-bejā ke alāva bhī tamāshā ho to
ab to ye raunaq-e-yak-manzarī khultī hai bahut
ab kahīñ jā ke alāva bhī tamāshā ho to
ya.anī ab kaun-o-makāñ se ho udhar bhī 'nāmī'
ya.anī duniyā ke alāva bhī tamāshā ho to
jashn-e-girya ke alawa bhi tamasha ho to
ab alawa ke alawa bhi tamasha ho to
kash ab ke na kisi shai ki talab hum ko rahe
ab tamanna ke alawa bhi tamasha ho to
mohlat-e-mahfil-e-KHush-rang pas-e-zindan ho
habs-e-beja ke alawa bhi tamasha ho to
ab to ye raunaq-e-yak-manzari khulti hai bahut
ab kahin ja ke alawa bhi tamasha ho to
yani ab kaun-o-makan se ho udhar bhi 'nami'
yani duniya ke alawa bhi tamasha ho to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.