jata na mere tain apna tu hunar waiz
jatā na mere ta.iiñ apnā tū hunar vaa.iz
tū apne fe.al se muñh apnā ḳhaak bhar vaa.iz
nasīhat auroñ ko kartā hai chaḌh ke mimber par
magar nahīñ hai tire dil pe kuchh asar vaa.iz
zabāñ pe va.az hai aur dil tirā hai istiġhlāz
ba-va.az-e-behūda mat bāñdh tū kamar vaa.iz
amal ba-va.az kar apne ba-sidq-o-dil varna
tū apne haal ko dekhegā dar-hashar vaa.iz
baḌhā ke riish ko apnī bhī juuñ dum-e-tā.ūs
ye kis ḳhayāl pe bhūlā hai abla-ḳhar vaa.iz
ḳhudā karīm hai chāhegā jis ko baḳhshegā
kisī pe ta.an kī añgusht tū na dhar vaa.iz
tū apne va.az pe vaa.iz na bhuul sach hī nahīñ
ki rāz-e-ishq se tere ta.iiñ ḳhabar vaa.iz
muqābla ba-bahas mat kar ahl-e-rindāñ se
ki jis meñ aap ke ho riish kā zarar vaa.iz
kalām-e-be-namak-o-be-asar se tū apne
ḳharāb mat kare ḳhilqat ḳhudā se Dar vaa.iz
yahāñ vahāñ pe tujhe gar najāt hai manzūr
kisī faqīr ke qadmoñ par sar ko dhar vaa.iz
tū kahiyo pīr-e-muġhāñ se salām 'afrīdī'
agar ba-kū-e-ḳharābāt ho guzar vaa.iz
jata na mere tain apna tu hunar waiz
tu apne feal se munh apna KHak bhar waiz
nasihat auron ko karta hai chaDh ke mimber par
magar nahin hai tere dil pe kuchh asar waiz
zaban pe waz hai aur dil tera hai istighlaz
ba-waz-e-behuda mat bandh tu kamar waiz
amal ba-waz kar apne ba-sidq-o-dil warna
tu apne haal ko dekhega dar-hashar waiz
baDha ke rish ko apni bhi jun dum-e-taus
ye kis KHayal pe bhula hai abla-KHar waiz
KHuda karim hai chahega jis ko baKHshega
kisi pe tan ki angusht tu na dhar waiz
tu apne waz pe waiz na bhul sach hi nahin
ki raaz-e-ishq se tere tain KHabar waiz
muqabla ba-bahas mat kar ahl-e-rindan se
ki jis mein aap ke ho rish ka zarar waiz
kalam-e-be-namak-o-be-asar se tu apne
KHarab mat kare KHilqat KHuda se Dar waiz
yahan wahan pe tujhe gar najat hai manzur
kisi faqir ke qadmon par sar ko dhar waiz
tu kahiyo pir-e-mughan se salam 'afridi'
agar ba-ku-e-KHarabaat ho guzar waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.