jaur-e-aflak bas-ki jhele hain
jaur-e-aflāk bas-ki jhele haiñ
aise pāpaḌ bahut se bele haiñ
gah huzūrī hai gaah hai duurī
gah akele haiñ gah do-kele haiñ
asp-e-tāzī nazar nahīñ aate
so khuroñ se bhare tavele haiñ
kahte haiñ yaañ jise qimār-e-ishq
khel aise bahut se khele haiñ
jiite haiñ vo qimār-e-ishq meñ yaar
jaan par apnī jo ki khele haiñ
Thahre kab jañg-e-husn meñ ye shaiḳh
ek muddat ke ye bhagele haiñ
paas apne duī kā naam nahīñ
jab se paidā hue akele haiñ
na dikhānā lahad meñ āñkheñ nakīr
paas apne bhī qul ke Dhele haiñ
kufr-o-dīñ kā ho faisla kyūñkar
ek muddat ke ye mañjhele haiñ
dair-o-kā'ba kī bhīḌ-bhāḌ hai kyā
aise dekhe bahut se mele haiñ
giriya-e-pur-asar kī shiddat hai
saaf āb-e-baqā ke rele haiñ
bhejā apnā ḳhayāl us but ne
jab sunā 'muntahī' akele haiñ
jaur-e-aflak bas-ki jhele hain
aise papaD bahut se bele hain
gah huzuri hai gah hai duri
gah akele hain gah do-kele hain
asp-e-tazi nazar nahin aate
so khuron se bhare tawele hain
kahte hain yan jise qimar-e-ishq
khel aise bahut se khele hain
jite hain wo qimar-e-ishq mein yar
jaan par apni jo ki khele hain
Thahre kab jang-e-husn mein ye shaiKH
ek muddat ke ye bhagele hain
pas apne dui ka nam nahin
jab se paida hue akele hain
na dikhana lahad mein aankhen nakir
pas apne bhi qul ke Dhele hain
kufr-o-din ka ho faisla kyunkar
ek muddat ke ye manjhele hain
dair-o-ka'ba ki bhiD-bhaD hai kya
aise dekhe bahut se mele hain
giriya-e-pur-asar ki shiddat hai
saf aab-e-baqa ke rele hain
bheja apna KHayal us but ne
jab suna 'muntahi' akele hain
- Deewan-e-MuntahiáKaristan-e-Fasahatâ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.