jaur-e-be-ja ko jo kahte ho baja hai wo bhi
jaur-e-be-jā ko jo kahte ho bajā hai vo bhī
dast-e-qātil pe lahū hai ki hinā hai vo bhī
log ḳhush haiñ use de de ke ibādat kā fareb
vo magar ḳhuub samajhtā hai ḳhudā hai vo bhī
aaj bas aaj hai kyā zikr guzashta kal kā
laakh sonā sahī miTTī meñ dabā hai vo bhī
tum jise jabr-o-sitam qahr-o-ġhazab kahte ho
apne a.amāl kī dar-asl sazā hai vo bhī
chārāgar bhuul ga.e hoñ to batā do 'ejāz'
zahr kahte haiñ jise ek davā hai vo bhī
jaur-e-be-ja ko jo kahte ho baja hai wo bhi
dast-e-qatil pe lahu hai ki hina hai wo bhi
log KHush hain use de de ke ibaadat ka fareb
wo magar KHub samajhta hai KHuda hai wo bhi
aaj bas aaj hai kya zikr guzashta kal ka
lakh sona sahi miTTi mein daba hai wo bhi
tum jise jabr-o-sitam qahr-o-ghazab kahte ho
apne aamal ki dar-asl saza hai wo bhi
chaaragar bhul gae hon to bata do 'ejaz'
zahr kahte hain jise ek dawa hai wo bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.