jaur-e-paiham ki intiha bhi hai
jaur-e-paiham kī intihā bhī hai
ek ke ba.ad dūsrā bhī hai
ġhair ne bazm-e-yār meñ ham se
kuchh kahā hai to kuchh sunā bhī hai
shauq se dil mirā karo pāmāl
yahī kam-baḳht kī sazā bhī hai
un kī tirchhī nazar se Dartā huuñ
ye adā hī nahīñ qazā bhī hai
kahte haiñ vo jo pūchhtā huuñ mizāj
aap se koī boltā bhī hai
nahīñ vāqif 'nasīm' se kyā ḳhuub
koī tum par miTā huā bhī hai
jaur-e-paiham ki intiha bhi hai
ek ke baad dusra bhi hai
ghair ne bazm-e-yar mein hum se
kuchh kaha hai to kuchh suna bhi hai
shauq se dil mera karo pamal
yahi kam-baKHt ki saza bhi hai
un ki tirchhi nazar se Darta hun
ye ada hi nahin qaza bhi hai
kahte hain wo jo puchhta hun mizaj
aap se koi bolta bhi hai
nahin waqif 'nasim' se kya KHub
koi tum par miTa hua bhi hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 156)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.