jawab ban na saka arz-e-haal hi na kiya
javāb ban na sakā arz-e-hāl hī na kiyā
use ghuTan hai ki maiñ ne savāl hī na kiyā
ham aise peḌ ki sūraj na chhāñv rok sakā
jhulastī dhuup meñ apnā ḳhayāl hī na kiyā
adā ḳhulūs se kī ham ne rasm-e-tark-e-vafā
udaas hī na hue aur malāl hī na kiyā
udhar thā shor-e-jafā intizār-e-radd-e-amal
idhar sukūt thā chehre ko laal hī na kiyā
safar meñ auroñ ko manzil milī to shaad hue
chale to aise ki apnā ḳhayāl hī na kiyā
jawab ban na saka arz-e-haal hi na kiya
use ghuTan hai ki main ne sawal hi na kiya
hum aise peD ki suraj na chhanw rok saka
jhulasti dhup mein apna KHayal hi na kiya
ada KHulus se ki hum ne rasm-e-tark-e-wafa
udas hi na hue aur malal hi na kiya
udhar tha shor-e-jafa intizar-e-radd-e-amal
idhar sukut tha chehre ko lal hi na kiya
safar mein auron ko manzil mili to shad hue
chale to aise ki apna KHayal hi na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.