jawab-e-arz-e-tamanna to mera apna tha
javāb-e-arz-e-tamanna to merā apnā thā
tirī sadā meñ bhī lahja to merā apnā thā
huā kareñ jo samundar the us ke qadmoñ meñ
ki merī pyaas pe qabza to merā apnā thā
vo kyoñ na sab se ziyāda mujhe 'atā kartā
ki zaḳhm bāñTne vaalā to merā apnā thā
bajā ki terī amānat thī merī ātish-e-dil
magar is aag meñ jalnā to merā apnā thā
ab aa.ine meñ jo lagtā hai ajnabī mujh ko
maiñ sochtā huuñ vo chehrā to merā apnā thā
utar gayā mire dil meñ to kyā ta'ajjub hai
ki us ke haath meñ tesha to merā apnā thā
qadam qadam pe laḌā 'badr' jo añdheroñ se
vo zaḳhm zaḳhm ujālā to merā apnā thā
jawab-e-arz-e-tamanna to mera apna tha
teri sada mein bhi lahja to mera apna tha
hua karen jo samundar the us ke qadmon mein
ki meri pyas pe qabza to mera apna tha
wo kyon na sab se ziyaada mujhe 'ata karta
ki zaKHm banTne wala to mera apna tha
baja ki teri amanat thi meri aatish-e-dil
magar is aag mein jalna to mera apna tha
ab aaine mein jo lagta hai ajnabi mujh ko
main sochta hun wo chehra to mera apna tha
utar gaya mere dil mein to kya ta'ajjub hai
ki us ke hath mein tesha to mera apna tha
qadam qadam pe laDa 'badr' jo andheron se
wo zaKHm zaKHm ujala to mera apna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.