Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawab manga to ulTa sawal karne lage

Azbar Safeer

jawab manga to ulTa sawal karne lage

Azbar Safeer

MORE BYAzbar Safeer

    javāb māñgā to ulTā savāl karne lage

    hamāre ahd ke bachche kamāl karne lage

    baḌe buzurg parindoñ se pyaar karte the

    so ham bhī sabz rutoñ ḳhayāl karne lage

    jo zard-rū haiñ vo phūloñ ko dekh kar apne

    tamāñche maar ke ruḳhsār laal karne lage

    dimāġh Thiik hai lekin ye dil vabālī hai

    na jaane kaun ghaḌī kyā vabāl karne lage

    maiñ ḳhush huā thā use dekh kar magar 'azbar'

    darūn-e-dil koī purze malāl karne lage

    jawab manga to ulTa sawal karne lage

    hamare ahd ke bachche kamal karne lage

    baDe buzurg parindon se pyar karte the

    so hum bhi sabz ruton ka KHayal karne lage

    jo zard-ru hain wo phulon ko dekh kar apne

    tamanche mar ke ruKHsar lal karne lage

    dimagh Thik hai lekin ye dil wabaali hai

    na jaane kaun ghaDi kya wabaal karne lage

    main KHush hua tha use dekh kar magar 'azbar'

    darun-e-dil koi purze malal karne lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now