jawab mangta tha main sawal de diya gaya
javāb māñgtā thā maiñ savāl de diyā gayā
talāsh dar talāsh kā vabāl de diyā gayā
atā huā thā jab yaqīñ kī sabz vādiyoñ meñ ghar
to kyuuñ dar-e-gumāñ pas-e-ḳhayāl de diyā gayā
mirī zamīn-e-chashm-e-nam meñ ḳhvāb bo diye ga.e
mujhe ḳhamīr-e-shauq lā-zavāl de diyā gayā
havāoñ ko dayār-e-dil kī raat sauñp dī ga.ī
badan ko sham-e-nā-tavāñ kā haal de diyā gayā
tumhāre ba.ad daulat-e-ġham-e-jahān mil ga.ī
duā qubūl ho ga.ī malāl de diyā gayā
nasīb-var tumheñ to tauq-e-hasrat-e-fanā milā
hameñ to ḳhauf-e-lamha-e-visāl de diyā gayā
ye dāstān-e-tifl-e-nai savār-e-raḳhsh-e-āgahī
kamāl phir zavāl phir kamāl de diyā gayā
jawab mangta tha main sawal de diya gaya
talash dar talash ka wabaal de diya gaya
ata hua tha jab yaqin ki sabz wadiyon mein ghar
to kyun dar-e-guman pas-e-KHayal de diya gaya
meri zamin-e-chashm-e-nam mein KHwab bo diye gae
mujhe KHamir-e-shauq la-zawal de diya gaya
hawaon ko dayar-e-dil ki raat saunp di gai
badan ko sham-e-na-tawan ka haal de diya gaya
tumhaare baad daulat-e-gham-e-jahan mil gai
dua qubul ho gai malal de diya gaya
nasib-war tumhein to tauq-e-hasrat-e-fana mila
hamein to KHauf-e-lamha-e-visal de diya gaya
ye dastan-e-tifl-e-nai sawar-e-raKHsh-e-agahi
kamal phir zawal phir kamal de diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.