jawab mil na sake jab kahin hawalon mein
javāb mil na sake jab kahīñ havāloñ meñ
savāl rakh diye us ne mire savāloñ meñ
use ḳhabar hī na thī āftāb niklegā
safed phuul sajā.e the us ne bāloñ meñ
ye aur baat tumhāre nasīb meñ ġham the
masarrateñ bhī thiiñ un nargisī piyāloñ meñ
samundaroñ kī tarah chāñd iztirāb meñ thā
taḌap rahī thiiñ ka.ī machhliyāñ ujāloñ meñ
zamīñ pe aa ke farishte lahūluhān hue
kisī chaTān se Takrā.e the ḳhayāloñ meñ
jawab mil na sake jab kahin hawalon mein
sawal rakh diye us ne mere sawalon mein
use KHabar hi na thi aaftab niklega
safed phul sajae the us ne baalon mein
ye aur baat tumhaare nasib mein gham the
masarraten bhi thin un nargisi piyalon mein
samundaron ki tarah chand iztirab mein tha
taDap rahi thin kai machhliyan ujalon mein
zamin pe aa ke farishte lahuluhan hue
kisi chaTan se Takrae the KHayalon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.