jawani harif-e-sitam hai to kya gham
javānī harīf-e-sitam hai to kyā ġham
taġhayyur hī aglā qadam hai to kyā ġham
har ik shai hai faanī to ye ġham bhī faanī
mirī aañkh gar aaj nam hai to kyā ġham
mire haath suljhā hī leñge kisī din
abhī zulf-e-hastī meñ ḳham hai to kyā ġham
ḳhushī kuchh tire hī liye to nahīñ hai
agar haq mirā aaj kam hai to kyā ġham
mire ḳhuuñ pasīne se gulshan baneñge
tire bas meñ abr-e-karam hai to kyā ġham
mirā kārvāñ baḌh rahā hai baḌhegā
agar ruḳh pe gard-e-alam hai to kyā ġham
ye maanā ki rahbar nahīñ hai misālī
magar apne siine meñ dam hai to kyā ġham
mirā kārvāñ aap rahbar hai apnā
ye shīrāza jab tak baham hai to kyā ġham
tire paas tabal o alam haiñ to hoñge
mire paas zor-e-qalam hai to kyā ġham
jawani harif-e-sitam hai to kya gham
taghayyur hi agla qadam hai to kya gham
har ek shai hai fani to ye gham bhi fani
meri aankh gar aaj nam hai to kya gham
mere hath suljha hi lenge kisi din
abhi zulf-e-hasti mein KHam hai to kya gham
KHushi kuchh tere hi liye to nahin hai
agar haq mera aaj kam hai to kya gham
mere KHun pasine se gulshan banenge
tere bas mein abr-e-karam hai to kya gham
mera karwan baDh raha hai baDhega
agar ruKH pe gard-e-alam hai to kya gham
ye mana ki rahbar nahin hai misali
magar apne sine mein dam hai to kya gham
mera karwan aap rahbar hai apna
ye shiraaza jab tak baham hai to kya gham
tere pas tabal o alam hain to honge
mere pas zor-e-qalam hai to kya gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.