jawani is tarah baad-e-jawani yaad aati hai
javānī is tarah bā'd-e-javānī yaad aatī hai
koī bhūlī huī jaise kahānī yaad aatī hai
mohabbat meñ zabāñ kī be-zabānī yaad aatī hai
nazar kī guftugū kī vo ravānī yaad aatī hai
gul-e-tar jām-e-sahbā māh-e-kāmil dekhtā huuñ jab
mujhe be-sāḳhta terī javānī yaad aatī hai
yagānoñ meñ bhī jab begāngī kā rang paatā huuñ
yakāyak dushmanoñ kī mehrbānī yaad aatī hai
sitāroñ kā tabassum dekh kar rotā hai dil merā
ki is 'unvān se apnī kahānī yaad aatī hai
ajal sar par khaḌī hai ḳhatm hone ko hai afsāna
ab aise meñ guzishta zindagānī yaad aatī hai
jawani is tarah ba'd-e-jawani yaad aati hai
koi bhuli hui jaise kahani yaad aati hai
mohabbat mein zaban ki be-zabani yaad aati hai
nazar ki guftugu ki wo rawani yaad aati hai
gul-e-tar jam-e-sahba mah-e-kaamil dekhta hun jab
mujhe be-saKHta teri jawani yaad aati hai
yaganon mein bhi jab begangi ka rang pata hun
yakayak dushmanon ki mehrbani yaad aati hai
sitaron ka tabassum dekh kar rota hai dil mera
ki is 'unwan se apni kahani yaad aati hai
ajal sar par khaDi hai KHatm hone ko hai afsana
ab aise mein guzishta zindagani yaad aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.