jawani kya hai hasin yaadgar ka aalam
javānī kyā hai hasīñ yādgār kā aalam
na hogā aisā kisī tājdār kā aalam
bhare shabāb meñ lail-o-nahār kā aalam
kahāñ se lā.iye sabr-o-qarār kā aalam
fazā ik haal pe Thahrī rahe ye nā-mumkin
nahīñ hai ḳhud pe yahāñ iḳhtiyār kā aalam
ġhazal hazal pe nahīñ munhasir shu.ūr miyāñ
hai ma.ānī-ḳhez dilāvar-figār kā aalam
vo baar baar ga.e lauT kar ke aa.e bhī
magar na ḳhatm huā intizār kā aalam
mahak hai miTTī meñ aisī ke dil ko khīñche hai
na mujh se pochhiye un ke dayār kā aalam
jo un ko dekh le ik baar dekhtā hī rahe
hasīn chehre pe husn-o-vaqār kā aalam
janāb-e-ishq se kah do bahut hasīn hai vo
unhīñ pe ḳhatm hai sola-siñgār kā aalam
jahāñ ke saath samundar hasīñ chaman-zāreñ
lo dekh lo mire parvardigār kā aalam
qalandarāna nazar hai tirī ajab 'āsī'
hai rahmatoñ se sajā husn-e-yār kā aalam
jawani kya hai hasin yaadgar ka aalam
na hoga aisa kisi tajdar ka aalam
bhare shabab mein lail-o-nahaar ka aalam
kahan se laiye sabr-o-qarar ka aalam
faza ek haal pe Thahri rahe ye na-mumkin
nahin hai KHud pe yahan iKHtiyar ka aalam
ghazal hazal pe nahin munhasir shuur miyan
hai maani-KHez dilawar-figar ka aalam
wo bar bar gae lauT kar ke aae bhi
magar na KHatm hua intizar ka aalam
mahak hai miTTi mein aisi ke dil ko khinche hai
na mujh se pochhiye un ke dayar ka aalam
jo un ko dekh le ek bar dekhta hi rahe
hasin chehre pe husn-o-waqar ka aalam
janab-e-ishq se kah do bahut hasin hai wo
unhin pe KHatm hai sola-singar ka aalam
jahan ke sath samundar hasin chaman-zaren
lo dekh lo mere parwardigar ka aalam
qalandarana nazar hai teri ajab 'asi'
hai rahmaton se saja husn-e-yar ka aalam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.