jawani meri rang lane lagi hai
javānī mirī rañg laane lagī hai
kalī dil kī ab muskurāne lagī hai
kisī kī adā ham ko bhāne lagī hai
mohabbat ye jaadū jagāne lagī hai
mire dil kā ḳhirman jalāne lagī hai
nazar un kī bijlī girāne lagī hai
bashar kī ḳhirad gul khilāne lagī hai
na.e ab ḳhudā ye banāne lagī hai
vo guzre haiñ sehn-e-chaman se ḳhirāmāñ
fazā ḳhud-baḳhud gungunāne lagī hai
junūñ ne vo tai kar lī manzil kabhī kī
ḳhirad ab jahāñ aane jaane lagī hai
mohabbat ke kaam aa ga.ī aaj 'rif.at'
hamārī bhī miTTī Thikāne lagī hai
jawani meri rang lane lagi hai
kali dil ki ab muskurane lagi hai
kisi ki ada hum ko bhane lagi hai
mohabbat ye jadu jagane lagi hai
mere dil ka KHirman jalane lagi hai
nazar un ki bijli girane lagi hai
bashar ki KHirad gul khilane lagi hai
nae ab KHuda ye banane lagi hai
wo guzre hain sehn-e-chaman se KHiraman
faza KHud-baKHud gungunane lagi hai
junun ne wo tai kar li manzil kabhi ki
KHirad ab jahan aane jaane lagi hai
mohabbat ke kaam aa gai aaj 'rifat'
hamari bhi miTTi Thikane lagi hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 144)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.