jawanon mein mohabbat nim-jaan malum hoti hai
jawanon mein mohabbat nim-jaan malum hoti hai
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
javānoñ meñ mohabbat nīm-jāñ ma.alūm hotī hai
baḌe būḌhoñ meñ lekin naujavāñ ma.alūm hotī hai
Thikāne kā koī fiqra ye farmātī nahiñ varna
tirī maañ to baḌī ma.aqūl maañ ma.alūm hotī hai
diyā hai haq ne merī saas ko kyā phuul sā chehra
baroz-e-eid bhī ye nauha-ḳhvāñ ma.alūm hotī hai
mire mahbūb tere husn kā ye ik karishma hai
hamārī muflisī ab jāvedāñ ma.alūm hotī hai
alif ne be ke ġham meñ zahr khā kar ḳhud-kushī kar lī
baḌī soch aur purānī dāstāñ ma.alūm hotī hai
kināra merī kashtī ke muqaddar meñ nahiñ shāyad
nahūsat nāḳhudā kī be-karāñ ma.alūm hotī hai
janāb-e-shaiḳh us se roz hī be-nuqta sunte haiñ
ye shaiḳhānī koī ahl-e-zabāñ ma.alūm hotī hai
qutub-mīnār se gir kar marā to doctor bole
ki is kī maut ham ko nā-gahāñ ma.alūm hotī hai
balā se ye ghasīTī jā rahī haiñ rāh-e-ulfat meñ
tarī zulfoñ kī lambā.ī kahāñ ma.alūm hotī hai
bichāre rail ke engine ne bhī kānoñ maiñ uñglī dī
ġham-e-jānāñ ke māroñ kī fuġhāñ ma.alūm hotī hai
bayāñ kyā ho nazākat vo to vo nāzuk-badan niklā
girāñ jis kī samā.at ko azaañ ma.alūm hotī hai
jawanon mein mohabbat nim-jaan malum hoti hai
baDe buDhon mein lekin naujawan malum hoti hai
Thikane ka koi fiqra ye farmati nahin warna
teri man to baDi maqul man malum hoti hai
diya hai haq ne meri sas ko kya phul sa chehra
baroz-e-eid bhi ye nauha-KHwan malum hoti hai
mere mahbub tere husn ka ye ek karishma hai
hamari muflisi ab jawedan malum hoti hai
alif ne be ke gham mein zahr kha kar KHud-kushi kar li
baDi soch aur purani dastan malum hoti hai
kinara meri kashti ke muqaddar mein nahin shayad
nahusat naKHuda ki be-karan malum hoti hai
janab-e-shaiKH us se roz hi be-nuqta sunte hain
ye shaiKHani koi ahl-e-zaban malum hoti hai
qutub-minar se gir kar mara to doctor bole
ki is ki maut hum ko na-gahan malum hoti hai
bala se ye ghasiTi ja rahi hain rah-e-ulfat mein
tari zulfon ki lambai kahan malum hoti hai
bichaare rail ke engine ne bhi kanon main ungli di
gham-e-jaanan ke maron ki fughan malum hoti hai
bayan kya ho nazakat wo to wo nazuk-badan nikla
giran jis ki samaat ko azan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.