jazb-e-dil kargar nahin hota
jazb-e-dil kārgar nahīñ hotā
us ke dil par asar nahīñ hotā
dard dil meñ agar nahīñ hotā
baat meñ kuchh asar nahīñ hotā
na kare tark pairvī jab tak
rāh-rau rāhbar nahīñ hotā
rañg laatī nahīñ mohabbat kuchh
soz jab tak sharar nahīñ hotā
nahīñ khultā dar-e-nashāt-e-abad
chaak jab tak jigar nahīñ hotā
baḌhte jaate haiñ raah meñ kāñTe
yārab aage safar nahīñ hotā
jāntā huuñ ma.āl-e-betābī
dil pe qaabū magar nahīñ hotā
ho na jab tak usī kā fazl-o-karam
qatra dariyā 'jigar' nahīñ hotā
jazb-e-dil kargar nahin hota
us ke dil par asar nahin hota
dard dil mein agar nahin hota
baat mein kuchh asar nahin hota
na kare tark pairwi jab tak
rah-rau rahbar nahin hota
rang lati nahin mohabbat kuchh
soz jab tak sharar nahin hota
nahin khulta dar-e-nashat-e-abad
chaak jab tak jigar nahin hota
baDhte jate hain rah mein kanTe
yarab aage safar nahin hota
jaanta hun maal-e-betabi
dil pe qabu magar nahin hota
ho na jab tak usi ka fazl-o-karam
qatra dariya 'jigar' nahin hota
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 50)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.