jazb ki sab intihaon ka tamasha har-taraf
jazb kī sab intihāoñ kā tamāshā har-taraf
tum kahā the tum nahīñ the maiñ hī maiñ thā har-taraf
ye mire dil meñ simaT aa.egī ik din dekhnā
tum ne kis aalam meñ phailā.ī thī duniyā har-taraf
dasht meñ bhī aa mile the kā.enātī silsile
vahshatoñ ne kar diyā thā merā charchā har-taraf
tum ne mere dar pe lā chhoḌā use achchhā kiyā
varna yuuñ hī be-sabab ye ġham bhaTaktā har-taraf
mere haq meñ to har-ik mausam ḳhizāñ-āsār thā
kis kī sannā.ī ne gul-manzar sajāyā har-taraf
jazb ki sab intihaon ka tamasha har-taraf
tum kaha the tum nahin the main hi main tha har-taraf
ye mere dil mein simaT aaegi ek din dekhna
tum ne kis aalam mein phailai thi duniya har-taraf
dasht mein bhi aa mile the kaenati silsile
wahshaton ne kar diya tha mera charcha har-taraf
tum ne mere dar pe la chhoDa use achchha kiya
warna yun hi be-sabab ye gham bhaTakta har-taraf
mere haq mein to har-ik mausam KHizan-asar tha
kis ki sannai ne gul-manzar sajaya har-taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.