jazba-e-haqq-o-sadaqat ko dabaen kaise
jazba-e-haqq-o-sadāqat ko dabā.eñ kaise
baat ban jaa.e magar baat banā.eñ kaise
apnī rūdād-e-ġham-e-ishq sunā.eñ kaise
un se vābasta haiñ hālāt batā.eñ kaise
log chehre se samajh lete haiñ dil kī hālat
ab tirā raaz chhupā.eñ to chhupā.eñ kaise
husn to aaj bhī dāman-kash-e-dil hai lekin
apne hālāt ko ham bhuul bhī jaa.eñ kaise
ġhair mumkin hai añdhere meñ talāsh-e-manzil
raushnī kuchh to mile rāsta paa.eñ kaise
ne.amat-e-dard kabhī lazzat-e-ġham baḳhshī hai
un ke ehsān bhalā bhuul bhī jaa.eñ kaise
bār-e-ġham kī bhī koī had hai zamāne vaalo
roz-afzūñ ho to ye baar uThā.eñ kaise
jazba-e-haqq-o-sadaqat ko dabaen kaise
baat ban jae magar baat banaen kaise
apni rudad-e-gham-e-ishq sunaen kaise
un se wabasta hain haalat bataen kaise
log chehre se samajh lete hain dil ki haalat
ab tera raaz chhupaen to chhupaen kaise
husn to aaj bhi daman-kash-e-dil hai lekin
apne haalat ko hum bhul bhi jaen kaise
ghair mumkin hai andhere mein talash-e-manzil
raushni kuchh to mile rasta paen kaise
neamat-e-dard kabhi lazzat-e-gham baKHshi hai
un ke ehsan bhala bhul bhi jaen kaise
bar-e-gham ki bhi koi had hai zamane walo
roz-afzun ho to ye bar uThaen kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.