Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jazba-e-iKHlas se wo aashna kyon ho gaya

Mohaamad tahseen Asrar

jazba-e-iKHlas se wo aashna kyon ho gaya

Mohaamad tahseen Asrar

MORE BYMohaamad tahseen Asrar

    jazba-e-iḳhlās se vo āshnā kyoñ ho gayā

    vo achānak mā.il-e-lutf-o-atā kyoñ ho gayā

    sang-bārī meñ koī masrūf jab thā nahīñ

    chuur merī zindagī aa.ina kyoñ ho gayā

    nā-ḳhudā.ī jis safīne tumheñ sauñpī ga.ī

    vo safīna ġharq-e-tūfān-e-balā kyoñ ho gayā

    terā maqsad thā sañvar jaa.e nizām-e-zindagī

    fitna-sāzī terā āḳhir mashġhala kyoñ ho gayā

    Das liyā maalī chashm-e-bad ne kyā 'asrār' use

    sochiye to shāḳh se pattā judā kyoñ ho gayā

    jazba-e-iKHlas se wo aashna kyon ho gaya

    wo achanak mail-e-lutf-o-ata kyon ho gaya

    sang-bari mein koi masruf jab tha hi nahin

    chur meri zindagi ka aaina kyon ho gaya

    na-KHudai jis safine ki tumhein saunpi gai

    wo safina gharq-e-tufan-e-bala kyon ho gaya

    tera maqsad tha sanwar jae nizam-e-zindagi

    fitna-sazi tera aaKHir mashghala kyon ho gaya

    Das liya mali ki chashm-e-bad ne kya 'asrar' use

    sochiye to shaKH se patta juda kyon ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now