jazba-e-ishq agar dil mein na paida hota
jazba-e-ishq agar dil meñ na paidā hotā
maiñ samajhtā huuñ mire haq meñ ye achchhā hotā
is qadar shiddat-e-ġham par to yahī lāzim thā
dil na hotā mirā patthar kā kaleja hotā
be-ḳhudī hai ki tirī bazm meñ le aa.ī hai
hosh hotā to yahāñ kis liye rusvā hotā
ik nazar dekh ke kuchh aur baḌhā dī vahshat
is se achchhā to yahī thā ki na dekhā hotā
mujh ko manzūr na thī apnī hī shohrat varna
maiñ to vo thā ki mirā arsh pe charchā hotā
ziist bhī maut bhī donoñ ke tumhīñ ho mālik
munsifī ye thī ki haq ek pe merā hotā
kuchh haqīqat na sahī husn-e-aqīdat hī sahī
'nūr' jiine ke liye kuchh to sahārā hotā
jazba-e-ishq agar dil mein na paida hota
main samajhta hun mere haq mein ye achchha hota
is qadar shiddat-e-gham par to yahi lazim tha
dil na hota mera patthar ka kaleja hota
be-KHudi hai ki teri bazm mein le aai hai
hosh hota to yahan kis liye ruswa hota
ek nazar dekh ke kuchh aur baDha di wahshat
is se achchha to yahi tha ki na dekha hota
mujh ko manzur na thi apni hi shohrat warna
main to wo tha ki mera arsh pe charcha hota
zist bhi maut bhi donon ke tumhin ho malik
munsifi ye thi ki haq ek pe mera hota
kuchh haqiqat na sahi husn-e-aqidat hi sahi
'nur' jine ke liye kuchh to sahaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.