jazba-e-ishq ka meayar sanbhaale hue hain
jazba-e-ishq kā me.ayār sañbhāle hue haiñ
aaj tak ham rasan-o-dār sañbhāle hue haiñ
us kā dīdār kahāñ us kā to saaya bhī nahīñ
sirf yād-e-lab-o-ruḳhsār sañbhāle hue haiñ
gungunāte nahīñ ab ham bhī purānī ġhazleñ
vo bhī pāzeb kī jhankār sañbhāle hue haiñ
ābid-o-zāhid-o-vā.iz to hue gosha-nashīñ
ab haram ko ye gunahgār sañbhāle hue haiñ
bāġhbāñ karte the phūloñ kī hifāzat pahle
aaj ye farz ḳhas-o-ḳhār sañbhāle hue haiñ
the qayāmat ke se āsār magar ḳhair huī
amn kā zimma razākār sañbhāle hue haiñ
shaiḳh sāhab kā hai is daur meñ jiinā mushkil
ye ġhanīmat hai ki dastār sañbhāle hue haiñ
jazba-e-ishq ka meayar sanbhaale hue hain
aaj tak hum rasan-o-dar sanbhaale hue hain
us ka didar kahan us ka to saya bhi nahin
sirf yaad-e-lab-o-ruKHsar sanbhaale hue hain
gungunate nahin ab hum bhi purani ghazlen
wo bhi pazeb ki jhankar sanbhaale hue hain
aabid-o-zahid-o-waiz to hue gosha-nashin
ab haram ko ye gunahgar sanbhaale hue hain
baghban karte the phulon ki hifazat pahle
aaj ye farz KHas-o-KHar sanbhaale hue hain
the qayamat ke se aasar magar KHair hui
amn ka zimma razakar sanbhaale hue hain
shaiKH sahab ka hai is daur mein jina mushkil
ye ghanimat hai ki dastar sanbhaale hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.