jazba-e-nau bhi to hai hasrat-e-nakaam ke sath
jazba-e-nau bhī to hai hasrat-e-nākām ke saath
ḳhvāhish-e-sub.h ubhartī to hai har shaam ke saath
ho vo tahsīn ke hamrāh ki dushnām ke saath
aa to jaatā hai mirā naam tire naam ke saath
tere kūche se bhī guzrā huuñ maiñ ai husn-e-talab
sub.h ke saath kabhī aur kabhī shaam ke saath
mushkileñ raah meñ aatī to bahut haiñ lekin
yaad kar letā huuñ maiñ tujh ko har ik gaam ke saath
pahle merā thā ye ġham ab hai zamāne bhar kā
ġham bhī gardish meñ rahā gardish-e-ayyām ke saath
jhūmtī aatī hai ḳhushbū se bharī aatī hai
jab bhī aatī hai sabā aap ke paiġhām ke saath
jazba-e-nau bhi to hai hasrat-e-nakaam ke sath
KHwahish-e-subh ubharti to hai har sham ke sath
ho wo tahsin ke hamrah ki dushnam ke sath
aa to jata hai mera nam tere nam ke sath
tere kuche se bhi guzra hun main ai husn-e-talab
subh ke sath kabhi aur kabhi sham ke sath
mushkilen rah mein aati to bahut hain lekin
yaad kar leta hun main tujh ko har ek gam ke sath
pahle mera tha ye gham ab hai zamane bhar ka
gham bhi gardish mein raha gardish-e-ayyam ke sath
jhumti aati hai KHushbu se bhari aati hai
jab bhi aati hai saba aap ke paigham ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.