jazba-e-sard sitamgar nahin achchha lagta
jazba-e-sard sitamgar nahīñ achchhā lagtā
tere chehre pe december nahīñ achchhā lagtā
aa.ina dekh to leñ dekh ke hāsil kyā hai
ab yahāñ apnā hī paikar nahīñ achchhā lagtā
ġhāliban aap ne sach bolā hai so bhugto ab
hākim-e-vaqt kā tevar nahīñ achchhā lagtā
ik vahī shaḳhs lage jaan se pyārā ham ko
aur kabhī vo bhī sarāsar nahīñ achchhā lagtā
bhiiḌ hai shor hai aur dā.imī uktāhaT hai
shahr kā bas yahī manzar nahīñ achchhā lagtā
ḳhair ye milnā bichhaḌnā to lagā rahtā hai
haañ magar yādoñ kā daftar nahīñ achchhā lagtā
jazba-e-sard sitamgar nahin achchha lagta
tere chehre pe december nahin achchha lagta
aaina dekh to len dekh ke hasil kya hai
ab yahan apna hi paikar nahin achchha lagta
ghaaliban aap ne sach bola hai so bhugto ab
hakim-e-waqt ka tewar nahin achchha lagta
ek wahi shaKHs lage jaan se pyara hum ko
aur kabhi wo bhi sarasar nahin achchha lagta
bhiD hai shor hai aur daimi uktahaT hai
shahr ka bas yahi manzar nahin achchha lagta
KHair ye milna bichhaDna to laga rahta hai
han magar yaadon ka daftar nahin achchha lagta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.