jazba-e-shauq kam nahin hota
jazba-e-shauq kam nahīñ hotā
un ke jaane kā ġham nahīñ hotā
sāmnā ho ke ho na pās-e-adab
mujh se aisā sitam nahīñ hotā
dil ne lākhoñ sahe haiñ ranj-o-alam
phir bhī pāband-e-ġham nahīñ hotā
kaise rotī haiñ roz-o-shab āñkheñ
un kā dāman bhī nam nahīñ hotā
gardish-e-rozgār ke hāthoñ
ranj-o-ġham kuchh bhī kam nahīñ hotā
haiñ to ḳhush-posh vaz.a-dār bahut
har koī mohtaram nahīñ hotā
kaam lete haiñ vo bhī hikmat se
jin meñ jāh-o-hasham nahīñ hotā
jazba-e-shauq kam nahin hota
un ke jaane ka gham nahin hota
samna ho ke ho na pas-e-adab
mujh se aisa sitam nahin hota
dil ne lakhon sahe hain ranj-o-alam
phir bhi paband-e-gham nahin hota
kaise roti hain roz-o-shab aankhen
un ka daman bhi nam nahin hota
gardish-e-rozgar ke hathon
ranj-o-gham kuchh bhi kam nahin hota
hain to KHush-posh waza-dar bahut
har koi mohtaram nahin hota
kaam lete hain wo bhi hikmat se
jin mein jah-o-hasham nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.