jazba-e-shauq kisi rang mein pinhan na hua
Interesting Fact
(23rd November, 1963)
jazba-e-shauq kisī rang meñ pinhāñ na huā
sho.ala-e-ishq charāġh-e-tah-e-dāmāñ na huā
kitnā ḳhuddār thā sharminda-e-ehsāñ na huā
aah vo dard jo minnat-kash-e-darmāñ na huā
yuuñ to kyā kuchh na huā aadmī insāñ na huā
kisī sūrat kisī pahlū kisī unvāñ na huā
zarra zarra hī rahā mehr-e-daraḳhshāñ na huā
qatra qatra hī rahā mauja-e-tūfāñ na huā
kabhī mil baiThte aapas meñ ye imkāñ na huā
tujh se itnā bhī are gardish-e-daurāñ na huā
ishq se husn kī rusvā.ī kā sāmāñ na huā
jazba-e-dil kisī sūrat se numāyāñ na huā
paas thā husn kī ismat kā vafādāroñ ko
josh-e-vahshat meñ kabhī chāk-garebāñ na huā
yuuñ to khilne ko khile phuul bahāroñ meñ bahut
ġhuncha-e-dil mirā lekin gul-e-ḳhandāñ na huā
inheñ aapas meñ bahar-taur na Takrānā thā
mus.haf-e-ruḳh ke muqābil kabhī qur.āñ na huā
log duniyā ko danī kahte haiñ sach kahte haiñ
maiñ zamāne kī ravish par kabhī hairāñ na huā
vaqt badlā to zamāne ne nigāheñ pherīñ
kasmapursī ke sivā koī bhī pursāñ na huā
mere har haal meñ shāmil rahī rahmat terī
maiñ kisī haal meñ māyūs-o-pareshāñ na huā
ma.arifat us ko ḳhudā kī bhalā kaise hogī
apnī hī zaat kā jis shaḳhs ko irfāñ na huā
ab bhī maujūd haiñ asnām-e-ḳhayālī dil meñ
ka.aba-e-dil kabhī bhūle se musalmāñ na huā
kyā navāzegī use bhī tirī rahmat yā rab
jo kabhī apne gunāhoñ pe pashemāñ na huā
pī liye aañkh meñ aa.e hue aañsū 'tālib'
jazba-e-ishq mirā jazba-e-arzāñ na huā
jazba-e-shauq kisi rang mein pinhan na hua
shoala-e-ishq charagh-e-tah-e-daman na hua
kitna KHuddar tha sharminda-e-ehsan na hua
aah wo dard jo minnat-kash-e-darman na hua
yun to kya kuchh na hua aadmi insan na hua
kisi surat kisi pahlu kisi unwan na hua
zarra zarra hi raha mehr-e-daraKHshan na hua
qatra qatra hi raha mauja-e-tufan na hua
kabhi mil baiThte aapas mein ye imkan na hua
tujh se itna bhi are gardish-e-dauran na hua
ishq se husn ki ruswai ka saman na hua
jazba-e-dil kisi surat se numayan na hua
pas tha husn ki ismat ka wafadaron ko
josh-e-wahshat mein kabhi chaak-gareban na hua
yun to khilne ko khile phul bahaaron mein bahut
ghuncha-e-dil mera lekin gul-e-KHandan na hua
inhen aapas mein bahar-taur na Takrana tha
mushaf-e-ruKH ke muqabil kabhi quran na hua
log duniya ko dani kahte hain sach kahte hain
main zamane ki rawish par kabhi hairan na hua
waqt badla to zamane ne nigahen pherin
kasmapursi ke siwa koi bhi pursan na hua
mere har haal mein shamil rahi rahmat teri
main kisi haal mein mayus-o-pareshan na hua
marifat us ko KHuda ki bhala kaise hogi
apni hi zat ka jis shaKHs ko irfan na hua
ab bhi maujud hain asnam-e-KHayali dil mein
kaba-e-dil kabhi bhule se musalman na hua
kya nawazegi use bhi teri rahmat ya rab
jo kabhi apne gunahon pe pasheman na hua
pi liye aankh mein aae hue aansu 'talib'
jazba-e-ishq mera jazba-e-arzan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.