jazba-e-shauq ne yun dad-e-wafa pai hai
jazba-e-shauq ne yuuñ dād-e-vafā paa.ī hai
khiñch ke manzil mire qadmoñ meñ chalī aa.ī hai
aaj tak miT na sakī māthe se sajdoñ kī ḳhalish
ek muddat se tire dar pe jabīñ-sā.ī hai
aa.ina toḌ ke hāthoñ meñ liye baiThe haiñ
ibrat-añgez ye anjām-e-ḳhud-ārā.ī hai
aap aa.eñ na sahī mujh ko bulā.eñ na sahī
aap kī yaad rafīq-e-shab-e-tanhā.ī hai
mehrbāñ vo haiñ to aġhyār pareshāñ kyoñ haiñ
merī aur un kī to barsoñ kī shanāsā.ī hai
koī naġhma koī sañgīt koī giit nahīñ
zindagī dard meñ Duubī huī shahnā.ī hai
jin ko inkār thā ab vo bhī to kahte haiñ 'habāb'
tere ash.ār meñ gahrā.ī hai gīrā.ī hai
jazba-e-shauq ne yun dad-e-wafa pai hai
khinch ke manzil mere qadmon mein chali aai hai
aaj tak miT na saki mathe se sajdon ki KHalish
ek muddat se tere dar pe jabin-sai hai
aaina toD ke hathon mein liye baiThe hain
ibrat-angez ye anjam-e-KHud-arai hai
aap aaen na sahi mujh ko bulaen na sahi
aap ki yaad rafiq-e-shab-e-tanhai hai
mehrban wo hain to aghyar pareshan kyon hain
meri aur un ki to barson ki shanasai hai
koi naghma koi sangit koi git nahin
zindagi dard mein Dubi hui shahnai hai
jin ko inkar tha ab wo bhi to kahte hain 'habab'
tere ashaar mein gahrai hai girai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.