jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua
jazba-o-ehsās kī shiddat kā andāza huā
har nafas har saañs meñ chāhat kā andāza huā
ḳhvāb chehra sard lab āñkhoñ meñ chingārī kī rut
vaqt-e-ruḳhsat dil kī kaifiyyat kā andāza huā
hijr kā mausam jab aa.e vasl kī ḳhushbū khule
fāsloñ ke darmiyāñ qurbat kā andāza huā
qatra-e-shabnam meñ dekhūñ sho.alagī kā madd-o-jazr
sub.h se hī shaam kī sūrat kā andāza huā
dekh kar ātish-ba-jāñ kuchh muztarib vo bhī hue
un se mil kar dard kī daulat kā andāza huā
jazba-o-ehsas ki shiddat ka andaza hua
har nafas har sans mein chahat ka andaza hua
KHwab chehra sard lab aankhon mein chingari ki rut
waqt-e-ruKHsat dil ki kaifiyyat ka andaza hua
hijr ka mausam jab aae wasl ki KHushbu khule
faslon ke darmiyan qurbat ka andaza hua
qatra-e-shabnam mein dekhun shoalagi ka madd-o-jazr
subh se hi sham ki surat ka andaza hua
dekh kar aatish-ba-jaan kuchh muztarib wo bhi hue
un se mil kar dard ki daulat ka andaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.