jazbaat-e-mohabbat chhup na sake go zabt se humne kaam liya
jazbaat-e-mohabbat chhup na sake go zabt se humne kaam liya
Sahir Bhopali
MORE BYSahir Bhopali
jazbāt-e-mohabbat chhup na sake go zabt se ham ne kaam liyā
ashk āñkhoñ meñ apne bhar aa.e jab terā kisī ne naam liyā
is shiddat-e-ġham ke hāthoñ ham majbūr bhī thī māyūs bhī the
kahnā thā bahut kuchh kah na sake āñkhoñ se zabāñ kā kaam liyā
kuchh arsh-e-barīñ tharrā uTThā aur jinn-o-malā.ik kaañp ga.e
jab maiñ ne larazte hāthoñ meñ ulfat kā chhalaktā jaam liyā
ḳhud apne kiye par nādim the phir kis kī shikāyat ham karte
ik aañch na un par aane dī sab apne hī sar ilzām liyā
kyoñ arz-e-tamannā par 'sāhir' phir aaj vo hañs kar jaate the
tauhīn-e-mohabbat sah na sakā aur baḌh ke dāman thaam liyā
jazbaat-e-mohabbat chhup na sake go zabt se hum ne kaam liya
ashk aankhon mein apne bhar aae jab tera kisi ne nam liya
is shiddat-e-gham ke hathon hum majbur bhi thi mayus bhi the
kahna tha bahut kuchh kah na sake aankhon se zaban ka kaam liya
kuchh arsh-e-barin tharra uTTha aur jinn-o-malaik kanp gae
jab main ne larazte hathon mein ulfat ka chhalakta jam liya
KHud apne kiye par nadim the phir kis ki shikayat hum karte
ek aanch na un par aane di sab apne hi sar ilzam liya
kyon arz-e-tamanna par 'sahir' phir aaj wo hans kar jate the
tauhin-e-mohabbat sah na saka aur baDh ke daman tham liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.