jazbaat mein jo mere muqabil khaDe hue
jazbāt meñ jo mere muqābil khaḌe hue
ehsās tab huā mire bachche baḌe hue
dushman kī zad se us ko bachā to liyā magar
siine meñ mere tiir haiñ ab tak gaḌe hue
nāyāb kis qadar haiñ tumheñ kuchh ḳhabar nahīñ
ham mil ga.e jo raah meñ tum ko paḌe hue
ik ishq ko to taaj mahal se milā davām
ik ishq kī misāl vo kachche ghaḌe hue
taqdīr kā usuul hai ai dost sabr kar
roze rakhe ġharīb ne to din baḌe hue
vo kyā gayā ki ab to sabhī kuchh badal gayā
pahle to shab hī thī so ab din bhī kaḌe hue
'faizān' aise dil meñ basī hai kisī kī yaad
jaise añgūThiyoñ meñ nagīne jaḌe hue
jazbaat mein jo mere muqabil khaDe hue
ehsas tab hua mere bachche baDe hue
dushman ki zad se us ko bacha to liya magar
sine mein mere tir hain ab tak gaDe hue
nayab kis qadar hain tumhein kuchh KHabar nahin
hum mil gae jo rah mein tum ko paDe hue
ek ishq ko to taj mahal se mila dawam
ek ishq ki misal wo kachche ghaDe hue
taqdir ka usul hai ai dost sabr kar
roze rakhe gharib ne to din baDe hue
wo kya gaya ki ab to sabhi kuchh badal gaya
pahle to shab hi thi so ab din bhi kaDe hue
'faizan' aise dil mein basi hai kisi ki yaad
jaise anguThiyon mein nagine jaDe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.