jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
jazbāt meñ vo pahlī sī shiddat nahīñ rahī
lagtā hai tujh ko mujh se mohabbat nahīñ rahī
vo chhoḌ kar chalā hī gayā mujh ko dekhiye
jab paas mere dosto daulat nahīñ rahī
maiñ bhī na baar baar manā.ūñgā ab tujhe
ek baar kah de mujh se mohabbat nahīñ rahī
ab lauT ke na aanā mirī zindagī meñ tum
mujh ko bhī ab tumhārī zarūrat nahīñ rahī
rahne lagā hai mujh se vo ab duur hī 'jamāl'
shāyad ab us ko merī zarūrat nahīñ rahī
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
lagta hai tujh ko mujh se mohabbat nahin rahi
wo chhoD kar chala hi gaya mujh ko dekhiye
jab pas mere dosto daulat nahin rahi
main bhi na bar bar manaunga ab tujhe
ek bar kah de mujh se mohabbat nahin rahi
ab lauT ke na aana meri zindagi mein tum
mujh ko bhi ab tumhaari zarurat nahin rahi
rahne laga hai mujh se wo ab dur hi 'jamal'
shayad ab us ko meri zarurat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.