jazbon mein pahle jaisi sadaqat nahin rahi
jazboñ meñ pahle jaisī sadāqat nahīñ rahī
ab darmiyāñ hamāre mohabbat nahīñ rahī
bhūlī huī huuñ kab se maiñ ḳhud ko batā.ūñ kyā
ab tujh ko yaad karne kī aadat nahīñ rahī
kaisā samāñ hai kaisī ye fasl-e-bahār hai
shahr-e-vafā ke phūloñ meñ nik.hat nahīñ rahī
vo bujh ga.ī sitāra-adā aañkh kab kī dost
dil meñ kisī ke pyaar kī hasrat nahīñ rahī
terī vafā ne aisā sabaq de diyā mujhe
mujh ko kisī bhī zaat se nafrat nahīñ rahī
ai 'hādia' shu.ūr-e-mohabbat jise diyā
ab vo hī kah rahā hai ki ulfat nahīñ rahī
jazbon mein pahle jaisi sadaqat nahin rahi
ab darmiyan hamare mohabbat nahin rahi
bhuli hui hun kab se main KHud ko bataun kya
ab tujh ko yaad karne ki aadat nahin rahi
kaisa saman hai kaisi ye fasl-e-bahaar hai
shahr-e-wafa ke phulon mein nikhat nahin rahi
wo bujh gai sitara-ada aankh kab ki dost
dil mein kisi ke pyar ki hasrat nahin rahi
teri wafa ne aisa sabaq de diya mujhe
mujh ko kisi bhi zat se nafrat nahin rahi
ai 'hadia' shuur-e-mohabbat jise diya
ab wo hi kah raha hai ki ulfat nahin rahi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.