jazbon pe jami barf pighal jaegi ek din
jazboñ pe jamī barf pighal jā.egī ik din
ḳhushbū koī galiyoñ meñ machal jā.egī ik din
āñkhoñ meñ na.ī sub.h bikheregī ujāle
phir zehn se chimTī huī kal jā.egī ik din
kab tak vo Darā.egā mujhe tīrgiyoñ se
vo raat hai aur raat to Dhal jā.egī ik din
maiñ bhī tumheñ ab bhuul hī jā.ūñgī kisī shaam
dil bahlā to ye ziist sañbhal jā.egī ik din
ye ratjage jo tū ne 'sadaf' oḌh liye haiñ
āḳhir ko ye aadat bhī badal jā.egī ik din
jazbon pe jami barf pighal jaegi ek din
KHushbu koi galiyon mein machal jaegi ek din
aankhon mein nai subh bikheregi ujale
phir zehn se chimTi hui kal jaegi ek din
kab tak wo Daraega mujhe tirgiyon se
wo raat hai aur raat to Dhal jaegi ek din
main bhi tumhein ab bhul hi jaungi kisi sham
dil bahla to ye zist sanbhal jaegi ek din
ye ratjage jo tu ne 'sadaf' oDh liye hain
aaKHir ko ye aadat bhi badal jaegi ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.