jazire dhund ke pichhe chhupe the
jazīre dhuñd ke pīchhe chhupe the
samundar se jahāñ mausam mile the
kisī ke bāzuoñ ko yaad kar ke
yuuñ apne aap meñ simTe hue the
musalsal ek hairat kā safar hai
kahāñ pahuñche kahāñ se ham chale the
jazire dhund ke pichhe chhupe the
samundar se jahan mausam mile the
kisi ke bazuon ko yaad kar ke
yun apne aap mein simTe hue the
musalsal ek hairat ka safar hai
kahan pahunche kahan se hum chale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.