jazire ki tarah meri nishani kis liye hai
jazīre kī tarah merī nishānī kis liye hai
mire chāroñ taraf paanī hī paanī kis liye hai
maiñ aksar sochtā huuñ dil kī gahrā.ī meñ jā kar
zamīñ par ek chādar āsmānī kis liye hai
ba-zāhir pur-sukūñ aur dil kī har ik rag salāmat
to zer-e-sat.h-e-dariyā ik ravānī kis liye hai
maiñ TuuTā huuñ to apnī kirchiyāñ bhī joḌ lūñgā
bikharne par mire ye shādmānī kis liye hai
ye dil be-hausla dil mere kahne meñ nahīñ jab
to apne dil kī maiñ ne baat maanī kis liye hai
kareñ lahje badal kar guftugū ik dūsre se
hamāre darmiyāñ ye be-zabānī kis liye hai
sabhī kirdār apnā kaam puurā kar chuke haiñ
to āḳhir nā-mukammal ye kahānī kis liye hai
jazire ki tarah meri nishani kis liye hai
mere chaaron taraf pani hi pani kis liye hai
main aksar sochta hun dil ki gahrai mein ja kar
zamin par ek chadar aasmani kis liye hai
ba-zahir pur-sukun aur dil ki har ek rag salamat
to zer-e-sath-e-dariya ek rawani kis liye hai
main TuTa hun to apni kirchiyan bhi joD lunga
bikharne par mere ye shadmani kis liye hai
ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab
to apne dil ki main ne baat mani kis liye hai
karen lahje badal kar guftugu ek dusre se
hamare darmiyan ye be-zabani kis liye hai
sabhi kirdar apna kaam pura kar chuke hain
to aaKHir na-mukammal ye kahani kis liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.