mera KHazana zamane ke hath ja na lage
mirā ḳhazāna zamāne ke haath jā na lage
tujhe kisī kī kisī ko tirī havā na lage
maiñ ek jism ko chakhnā to chāhtā huuñ magar
kuchh is tarah ki mire muñh ko zā.iqa na lage
hameñ lagā so lagā ḳhud-aziyyatī kā nasha
du'ā karo ki tumheñ koī bad-du'ā na lage
du'ā karo ki kisī kā na dil lage tum se
lage to aur kisī se lagā huā na lage
hasad kiyā ho tire rizq se kabhī maiñ ne
to mujh ko apnī kamā.ī huī ġhizā na lage
hameñ hī 'ishq kī tash.hīr chāhiye varna
pata na lagne diyā jaa.e to pata na lage
paḌā rahā maiñ kisī aur hī bakheḌe meñ
bahut se qīmtī jazbe kisī dishā na lage
banā rahā huuñ tasavvur meñ ek muddat se
ik aisā shahr jise koī rāsta na lage
hameñ hī 'ishq kī tash.hīr chāhiye varna
pata na lagne diyā jaa.e to pata na lage
kise ḳhushī nahīñ hotī sarāhe jaane kī
magar vo dost hī kyā hai jo aa.ina na lage
mera KHazana zamane ke hath ja na lage
tujhe kisi ki kisi ko teri hawa na lage
main ek jism ko chakhna to chahta hun magar
kuchh is tarah ki mere munh ko zaiqa na lage
hamein laga so laga KHud-aziyyati ka nasha
du'a karo ki tumhein koi bad-du'a na lage
du'a karo ki kisi ka na dil lage tum se
lage to aur kisi se laga hua na lage
hasad kiya ho tere rizq se kabhi main ne
to mujh ko apni kamai hui ghiza na lage
hamein hi 'ishq ki tashhir chahiye warna
pata na lagne diya jae to pata na lage
paDa raha main kisi aur hi bakheDe mein
bahut se qimti jazbe kisi disha na lage
bana raha hun tasawwur mein ek muddat se
ek aisa shahr jise koi rasta na lage
hamein hi 'ishq ki tashhir chahiye warna
pata na lagne diya jae to pata na lage
kise KHushi nahin hoti sarahe jaane ki
magar wo dost hi kya hai jo aaina na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.