Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jehl ko ilm ka mear samajh lete hain

Shaayar Lakhnavi

jehl ko ilm ka mear samajh lete hain

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    jehl ko ilm me.aar samajh lete haiñ

    log saa.e ko bhī dīvār samajh lete haiñ

    chheḌ kar jab bhī kisī zulf ko aatī hai

    ai sabā ham tirī raftār samajh lete haiñ

    faqat jaam mafhūm samajh ai saaqī

    tishnagī kyā hai ye mai-ḳhvār samajh lete haiñ

    ham ki haiñ jumbish-e-abrū zabāñ se vāqif

    tere khiñchne ko bhī talvār samajh lete haiñ

    ab kisī barhamī-e-zulf charchā na karo

    log apne ko giraftār samajh lete haiñ

    jo bhī bāzār meñ dam-bhar ko Thahar jaatā hai

    sāda-dil us ko ḳharīdār samajh lete haiñ

    dil ke asrār chhupāte haiñ vo ham se 'shā.ir'

    ham ki rañg-e-lab-o-ruḳhsār samajh lete haiñ

    jehl ko ilm ka mear samajh lete hain

    log sae ko bhi diwar samajh lete hain

    chheD kar jab bhi kisi zulf ko tu aati hai

    ai saba hum teri raftar samajh lete hain

    tu faqat jam ka mafhum samajh ai saqi

    tishnagi kya hai ye mai-KHwar samajh lete hain

    hum ki hain jumbish-e-abru ki zaban se waqif

    tere khinchne ko bhi talwar samajh lete hain

    ab kisi barhami-e-zulf ka charcha na karo

    log apne ko giraftar samajh lete hain

    jo bhi bazar mein dam-bhar ko Thahar jata hai

    sada-dil us ko KHaridar samajh lete hain

    dil ke asrar chhupate hain wo hum se 'shair'

    hum ki rang-e-lab-o-ruKHsar samajh lete hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now