jhank kar parde se ye kya kar diya
jhāñk kar parde se ye kyā kar diyā
dil meñ mere hashr barpā kar diyā
dīda-e-tar meñ thā pinhāñ rāz-e-ishq
ashk ke qatroñ ne ifshā kar diyā
naġhma-e-shīrīñ ne mere dil meñ aaj
dard mīThā-mīThā paidā kar diyā
piite the chhup-chhup ke jām-e-surḳh ham
aañkh kī surḳhī ne rusvā kar diyā
baat thī itnī sī lekin charḳh ne
is ko ik shaitāñ kā charḳhā kar diyā
aañkh merī ab jhapaktī kyoñ nahīñ
jaane terī aañkh ne kyā kar diyā
ḳhuun ke qatre haiñ ye aañsū jinheñ
ek-ek qatre ne dariyā kar diyā
vo sañvarte hī rahe shab bhar 'karan'
āte-āte hī saverā kar diyā
jhank kar parde se ye kya kar diya
dil mein mere hashr barpa kar diya
dida-e-tar mein tha pinhan raaz-e-ishq
ashk ke qatron ne ifsha kar diya
naghma-e-shirin ne mere dil mein aaj
dard miTha-miTha paida kar diya
pite the chhup-chhup ke jam-e-surKH hum
aankh ki surKHi ne ruswa kar diya
baat thi itni si lekin charKH ne
is ko ek shaitan ka charKHa kar diya
aankh meri ab jhapakti kyon nahin
jaane teri aankh ne kya kar diya
KHun ke qatre hain ye aansu jinhen
ek-ek qatre ne dariya kar diya
wo sanwarte hi rahe shab bhar 'karan'
aate-ate hi sawera kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.